Header Ads

Unveiling the Majesty of Laylat al-Qadr: Reflections from the Qur'an and Hadith / Laylatul Qadr Benefits

 

Unveiling the Majesty of Laylat al-Qadr: Reflections from the Qur'an and Hadith /  Laylatul Qadr Benefits

Bismillahirrahmanirraheem
Al Quran : Beshak humne is (Quran) ko Shab--e-Qadr mein nazil kiya hai, Aur Aapko kya Malum ki Shab-e-Qadr Kya hai, Shab-e-Qadr Hazar mahino se behtar hai ismein farishte aur rooh nazeel hote hain, Apne RABB ke hukm se har kaam par,  wo subah Roshan hone tak salamati ki raat hai
📚Quran: Surah Al-Qadr (97)

Al Quran : We have indeed revealed this (Quraan) in the Night of Power,  And what will explain to thee what the night of power is? ,  The Night of Power is better than a thousand months,   Therein come down the angels and the Spirit , by Allah’s permission, on every errand, Peace!...This until the rise of morn!
📚Al Quran: Surah Al-Qadr (97)



Hadith: Shab-e-Qadr ko Ramazan ki Aakhri Ashre ki Taaq (21, 23, 25, 27, 29) raaton mein talaash karo
-------
Rasool-Allah Sallallahu  Alaihi  wasallam  ne farmaya Shab-e-Qadr ko Ramazan ki  Aakhri Ashre ki Taaq (21, 23, 25, 27, 29) raaton mein talaash karo
📚Sahih Bukhari, Jild 3, 2017

Rasool-Allah Sallallahu  Alaihi  wasallam  said, Search for the Night of Qadr in the odd nights (21, 23, 25, 27, 29) of the last ten days of Ramadan." 
📚Sahih Bukhari, Book 32, 234


Shab-e-Qadr ki dua

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
Aisha Radi Allahu Anha ne farmaya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam agar 
Mujhe shab-e-Qadr mil jaye to kya dua karu to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kaho
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-Aafu, faafu anni
Tarjumah: Ya Allah tu maaf karne wala hai aur maaf karne ko pasand karta hai isliye mujhe maaf farma
📚Sunan ibn Majah, Jild 3, 731-Sahih

It was narrated from 'Aisha Radi Allahu Anha that she said O Messenger of Allah, what  should I say in my supplication, if I come upon Laylatul-Qadr?" He Sallallahu Alaihi Wasallam said: "Say: 

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-Aafu, faafu anni
O Allah, You are Forgiving and love forgiveness, so forgive me.
📚Sunan ibn Majah, Book 34, Hadith 24-Sahih


Hadith: Shab e Qadr 27 raat hai
---------
Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke Ek admee RasoollAllah Sallallahu Alaihi wasallam  ki khidmat mein aaya aur usne Arz kiya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam main budha aur beemar aadmee hu mere liye qayam karna mushkil hai lihaza Aap mere liye (in das raaton mein se ) kisi ek raat ko muqarrar kar dein shayad Allah subhanahu mujhe usmein Shab e Qadr ke sawab se nawaz de Aap Sallallahu Alahih wasallam ne farmaya Saatwee yani 27 (raat ka ehtamam karo)
📚Musnad Ahmed - 4047-Sahih


Muawiyah bin Abu Sufyan Radi Allahu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Shab e Qadr 27 Raat hai
📚Sunnan e Abu Dawood-1386-Sahih

Narrated by Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhu that a person came to the Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam and said I am an old and sick person so its too hard for me to perform Qayam Al Lail  (Staying in the night for the sake of Allah) , kindly single out a night for me (among the last 10 nights of Ramdan) , I hope Allah may  grant me the benifits of the Lailatul Qadr (night of destiny) in that night ,Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Said Seventh ( It means Perform Qayam in Seventh Night which is 27 night of Ramdan) 
📚Musnad Ahmed - 4047-Sahih

Narrated Muawiyah bin Abu Sufyan Radi Allahu Anhu that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Said Lailat al-qadr is the twenty-seventh night (of Ramadan) 
📚Sunnan e Abu Dawood-1386-Sahih


Bismilahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith : Shab-e-Qadr ki nishani aur uska 27 raat ko zyada hone ki dalil
------------------
Zirr bin Habaish Radi Allahu Anhu kahte hai ki maine Abi bin kaab Radi Allahu Anhu se pucha ki tumhare bhai ibn Masood Radi Allahu Anhu kahte hain ki jo saal bhar (ibadat ke liye) barabar jagega wo shab e qar pa lega to unhone kaha Allah rahmat kare un par unhone ye isliye kaha kyunki log kahi ek hi raat par bharosa na kar le (bulki hamesha ibadat karte rahe) aur wo achchi tarah jante hain ki wo Ramzan mein hai aur aakhri ashre mein hai aur wo 27 raat ko hai phir wo us par qasam khate they aur in sha Allah bhi nahi kahte (yani unhe aisa pukhta yakeen tha 27 ki shab e qadr hone par) aur wo shab qadr 27 ko hai , to maine unse pucha ki eh abu munzir aap kaise ye dawa karte ho unhone kaha ki ye ek nishani ki wajah se jo Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne humko batayee thi aur wo ye hai ki uski (shab e qadr ki) subah ka jo aaftab nikalta hai to usmein shuaa (kirnein) nahi hoti 
(magar ye nishani zawal e shab ke bad ke bad zahir hoti hai)
📚Sahih Muslim, Jild 3, 2777
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-afwa, fafu anni
Ya Allah tu maaf karne wala hai aur maaf karne ko pasand karta hai isliye mujhe maaf farma


The virtue of 27 night of Ramadan
----------------------
Zirr bin Habaish Radi Allahu Anhu reported I thu asked Ubayy bin Ka'b Radi Allahu Anhu Your brother (in faith) Ibn Mas'ud Radi Allahu Anhu says He who stands (for the night prayer) throughout the year would find Lailat-ul-Qadr, whereupon he said: May Allah have mercy upon him; (he said these words) with the intention that people might not rely only (on one night), whereas he knew that it (Lailat-ul-Qadr) is in the month of Ramadan and it is the twenty-seventh night. He then took oath (without making any exception, i. e. without saying In sha Allah) that it was the twenty-seventh night. I said to him: Abu Mundhir, on what ground do you say that? Thereupon he said: By the indication or by the sign which the Messenger of Allah (ﷺ) gave us, and that is that on that day (the sun) would rise without having any ray in it.
📚Sahih Muslim, Book 6, Hadith 2633


Mafhum-e-Hadith: Shab e Qadr ki nishaniyan
-----------
Hazrat Ubada radi allahu anhu se rivayat hai ki Nabi ﷺ ne farmaya shab e Qadr Ramazan ke mahine ke akahri ashremein hoti hai jo shakhs is ka sawab hasil karne ke liye un mein qiyam kere to Allah is ke agle pichle sare gunah maaf farma dega aur ye taaq raton mein hoti hai yani Aakhri ashre ki 9, 7, 5, 3, ya aakhri raat ( yani 29,27,25,23,21) aur farmaya ke shab e qader ki nishani ye hai ke wo raat roshan aur chamakdar hoti hai is mein chand ki roshni bhi khoob ujli hoti hai, wo raat pur-sukun aur gehri (mautadil) hoti hai Ye raat na garm hoti hai na thandi hoti hai, is raat mein subah tak sitare tod kar nahi maare jate, is ki nishani ye bhi hai ke is ki subah ko jab Sooraj roshan hota hai to woh seedha barabar nikalta hai jaise chodwee ka chaand hota hai aur (subah ke waqt) is ki koi shuaa (kiran) nahi hoti aur is din shaitan ke liye Sooraj ke sath niklana mana hota hai.
📚Masnad Ahmad, 4022-Hasan


The Sign of the Night of Al-Qadr
-----------
Narrated Ubada Radi Allahu Anhu The Prophet ﷺ said
The Night of Al-Qadr occurs during the last ten (nights). Whoever stands for them (in prayer) seeking their reward, then indeed Allah will forgive his previous sins and his latter sins. It is an odd night: the ninth, or the seventh, or the fifth, or the third or the last night (of Ramadan).) The Messenger of Allah also said, Verily, the sign of the Night of Al-Qadr is that it is pure and glowing as if there were a bright, tranquil, calm moon during it. It is not cold, nor is it hot, and no shooting star is permitted until morning. Its sign is that the sun appears on the morning following it smooth having no rays on it, just like the moon on a full moon night. Shaytan is not allowed to come out with it (the sun) on that day.)
📚Masnad Ahmad,  4022-Hasan


Mafhum-e-Hadith: Shab-e-Qadr ki dua
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
---------------
Aisha Radi Allahu Anha ne farmaya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam agar 
Mujhe shab-e-Qadr mil jaye to kya dua karu to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kaho
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-afwa, fafu anni
Tarjumah: Ya Allah tu maaf karne wala hai aur maaf karne ko pasand karta hai isliye mujhe maaf farma
📚Sunan ibn Majah, Vol 3, 731-Sahih

It was narrated from 'Aisha Radi Allahu Anha that she said O Messenger of Allah, what do you think I should say in my supplication, if I come upon Laylatul-Qadr?" He Sallallahu Alaihi Wasallam said: "Say: 

Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-afwa, fafu anni
(O Allah, You are Forgiving and love forgiveness, so forgive me).
📚Sunan ibn Majah, Book 34, Hadith 24-Sahih


Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Shab e Qadr 27 ya 29 ki raat hai iss raat mein zameen par farishton ki tadad kankariyon ki tadad se zyada hoti hai
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said The Night of Al-Qadr is on the 27th or the 29th [of Ramadan]. On that night, the angels on earth are more numerous than its pebbles.
📚Al-Silsila tus Sahiha - 2262



Mafhum e hadith : Is Ummat ko zyada Sawab kamane ke liye Shab e Qadr Ata kar di gaye
-------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko guzishta yani pichli ummaton ki umrein dikhayee gayee ya us bare mein jo Allah subhanahu ne chaha dikhaya to Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne apni ummat ki umar ko chota khayal farmaya ke wo kam umar ki wajah se iss tarah zyada aamal na kar sakenge jis tarah dusri ummaton ke log apni lambi umar ki wajah se kar payenge toh Allah subhanahu ne Aap Sallallahu Alahih Wasallam ko Shab e Qadr ata farma di jo hazar mahino se bhi afzal hai
📚Muwatta Malik Hadith 16-Sahih


Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam was shown the lifespans of the people (who had gone) before him, or what Allah willed of that, and it was as if the lives of the people of his community had become too short for them to be able to do as many good actions as others before them had been able to do with their long lives, so Allah gave him Laylat al- Qadr, which is better than a thousand months.
📚Muwatta Malik Hadith 16-Sahih


Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya shab e Qadr Ramazan ke mahine ke akahri ashremein hoti hai jo shakhs is ka sawab hasil karne ke liye un mein qiyam kere to Allah is ke agle pichle sare gunah maaf farma dega
📚Masnad Ahmed- 4022-Hasan


Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said The Night of Al-Qadr occurs during the last ten (nights). Whoever stands for them (in prayer) seeking their reward, then indeed Allah will forgive his previous sins and his latter sins.
📚Masnad Ahmed- 4022-Hasan


Shab-e-Qadr mein Ibadat karne ki fazilat
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya  jo shakhs Shab-e-Qadr Imaan ke saath aur sirf Aakhirat ke sawab ke liye Zikr aur ibadat mein guzare to uske pichle gunah bakhsh diye jate hain
📚Sahi Bukhari, 35

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Whoever establishes the prayers on the night of Qadr out of sincere faith and hoping to attain Allah's rewards (not to show off) then all his past sins will be forgiven.
📚Sahi Bukhari, Book 2, 35

#LaylatAlQadr #NightOfPower #RamadanNights #IslamicTeachings #SpiritualJourney #QuranicWisdom #HadithReflections #IslamicFaith #SeekingMercy #DivineBlessings
#DeenRemainder #DeenRemainder.blogspot.com

No comments

Powered by Blogger.